Aaj hum seekhenge ki facebook id delete kaise kare aur facebook id temporary evam permanent delete kaise kare Aaj-kal jo bhi internet use karta hai uska Facebook par facebook id zaroor hota hai. Kuchh log din bhar Facebook par chat, comment, like ya post karne mein lage rehte hain aur kuchh log apne Business ko promote karne ke liye bhi Facebook ka istemaal karte hain.
Vaise toh Facebook achhi social site hai, lekin agar aap ise bina kisi business matlab ke ek hud se zyada use karte hain toh aap apne
time ke saath life bhi kharab kar rahe hain aur yeh baat kuchh logo ko jaldi samajh bhi aa jaati hai.
Aise mein kai baar jab log unka facebook id delete karna chaahte hain to internet par uplabdh dhero link mein fus kar vah facebook id delete karne ki bajaye use deactivate karke chhod dete hain aur unhe aisa lagta hai ki facebook id poori tarah se delete ho Gaya jabki aisa karne ke liye aapko kam se kam 30 din tak aapse anumati maangi jaati hai.
Bohot se logo ko ye nahi pata hota hai ki facebook id delete aur deactivate karne mein kya difference hota hai aur vo apne facebook id ko deactivate karke sochte hain ki unka facebook account delete ho gaya hai, isiliye facebook id delete karne se pehle hum ye jaanenge ki facebook account deactivate karna kya hota hai aur Facebook facebook id deactivate kaise karte hain.
facebook id deactivate karne se kya hota hai?
Agar aap apne Facebook account ko kabhi deactivate karte hain toh aap use dobara kisi bhi time ya kabhi bhi Active kar sakte hain. facebook account active karne par aapko sab kuchh vaisa hi milega jaisa aapne chhoda thha, matlab- vahi Friends, Messages, Posts, Likes ,Comments etc.
facebook account deactivate karne ke baad aapke facebook account ko koi bhi Facebook par Search nahi kar sakta, naa hi aapki timeline dekh sakta hai.
Iske alava aapki account doosro ki friend list ya unke message list mein mil jaati hai par vah aapki profile ko open karke uspae uplabdh koi bhu content Nahi Dekh paayenge aur vah ek Disabled account ki tarah lagta hai. Jab aap apna facebook account deactivate karte hain to Facebook aapki saari information apne paas save rakh leta hai jisse future mein jab bhi aap apna facebook account firse activate kare to aapko sab kuchh pehle jaisa hi dekhne ko milta hai jaisa pehle aapne choda tha.
facebook id Deactivate Kaise Kare
Apna facebook id deactivate karne ke liye aap neeche diye gaye steps ko follow kare:
- Sabse pehle apna facebook account login kar le.
- Ab yahan par Facebook ke right top corner mein maujood down arrow par click kare.
- Iske baad settings par jaaye. Ab aapke saamne facebook account ki settings aapko dekhne ko mil jayegi.
- Yahan par available settings page ke left mein maujood security option par click kare.
- Iske baad aap security settings mein sabse neeche, maujood Deactivate your facebook account par click kar ke facebook account delete karne ka kaaran chun ne ke baad aap apna facebook account badi aasani se deactivate kar sakte hain.
- yaha par Click karne ke baad apko Deactivate Your Account Link Najar aayega us par Click karte hi apko yaha par available list me se deactivate karne ka reason chunna hoga.

Aap iss form mein se aapka zaroori kaaran chun sakte hain, aap yahan par uplabdh kisi bhi bhi ek checkbox par click kar aapka kaaran bata sakte hain.
Iske baad agar aap aapke dosto dvara upload kiya hua koi bhi update apni account deactivate karne ke baad bhi lena chaahte hain toh neeche diye hue Email Opt Out box par click kar sakte hain.
Iske baad agar aapko Facebook se jude messenger application mein aapke dosto ke message aapki account deactivate karne ke baad bhi agar paana chahte hain toh aap iss option ko select kar sakte hain.
Iske baad aap aapka facebook account deactivate button par click kar deactivate jar sakte hain.

- iske baad apse last Confirmation pucha jata hai or yaha par Deactivate Now Button par Click karte hi apka facebook id deactivate ho jata hai.
- agar future me kabhi dubara Login karenge to facebook id fir se Activate ho jayega.

aasha karta hu apko facebook id delet kaise kare ki jaaankari acchi tarh se mil gyi hogi or ap siikh bhi gye honge agar abhi bhi koi doubt hai ya koi suggetion hai hume comment kr ke puch sakte hai puri sahaya or suggestion ko saraha jayega dhyanwaad.
facbook id delet karne ke liye is button pe click kare